Maine 2007 mein aisa bahut kuch likha jo maya sabhyata ki 21dec wali bhavishyavani aur film 2012 se bahut milta julta hai.. Mujhe achhe se yaad hai ye sab news mein 2009 mein aana shuru huya tha aur 2009 ke end mein movie 2012 bhi release hui.. lekin is movie mein kya dikhaya jaye ga aisa to kisi ko bhi nahi pata tha lekin maine jo likha tha uske bade ansh picture mein darshaye gaye hain... apni is baat ke pukhta saboot hain mere paas... MAIN YE NAHI KEHTA KI 2012 MEIN DUNIA KHATAM HO JAYE GI LEKIN IS MOVIE MEIN JO DIKHAYA GAYA USKE KUCH PEHLU VAISE HI SATYA GHATNA KE ROOP MEIN DEKHNE MEIN SAMNE AAYEIN GE WOH BHI PURI PRITHVI PAR NAHI APITU KOI-2 JAGAH PAR ALAG ALAG SAMAY PE!!! HAAN KEWAL ITNA MUMKIN HAI KI IS TAREEQH KE AAS-PAAS KUCH AISI NAKARATMAK GHATNAYEIN GHAT SAKTI HAIN JISE LOG INSE JOD KAR DEKHEIN PAR DHARTI KHATM JO JAYE YE ASAMBHAV HAI..


Movie November 13, 2009 ko release hui thi.. aur maine nimnlikhit bhavishya 12dec2007 ko likha saboot ke sath...

[{( Bhavisya mein hogi aisi nayi prakartik apda ki rakhna pade ga naya naam naya zamana... 

Earth equdator- Large scale par dharti ka phatna aur ek bada area apni gaud mein sama lena jaise pehle bhi kayi baar ho chuka hai tabhi to humein bhumi ke andar pehli kitni sabhyatayon ke praman milte rahe hai ab is samay ke praman bhi to prakarti aage aane wale logon ke liye suraqshit karegi na... aisa isi sadi mein hoga im 1000% sure!!!

Bahut vazan ki bhayankar aavaj mein sunai deta hai ki mausam ke mausam badal jayein ge, dishayon ki dishayein badal jayein gi, naqshon ke nakshe badal jayein ge.... climax change hone ka samay aane wala hai kareeb ek din prakarti ke roop-rang-nazare badal jayein ge, yug ke yug badal jayein ge... mata vaishno apni jagah badal rahi hai mausam ke mausam badalne wale hain.. plz believe me!!! Delhi ki sardi badti jaye gi... North india mein jahan umeed nahi wahan-wahan barf bhi gire gi bhavishya mein, "sawan-bhado ek ho jayein ge!!! kayi ilake apne aaj se vipreet ho jayein ge... ushna katibandhiye ilake pani-pani ho jayein ge aur pani pani wale sukhe main chale jayein ge! kya koi mujhe is baat ka matlab bataye ga ki sawan-bhado ke ek hone ka matlab kya hota hai kyunki main sapno mein aksar sunta hoon ki sawan-bhado ek kar do! arrey sawan-bhado ek ho jayo... Mata rani apni jagah badal legi... 


Aasman se kuch aaye aur woh prithvi se aisa takraye ga aisa takraye ga jaise mano wahan bahut kuch samapat ho jaye ga!!! )}]



earth eqwadator ya liquidater jaise words in my dreams, large scale par dharti phatna us mein gaun shehar sama jana jaise pehle ki sabhyatayon ke sath hota aaya hai.. like mata sita jaise wo dharti mein sama gayi thi.. arrey aaj ke yug ke praman bhi to prakarti chore gi na apni gaud mein taki aane wali wale yug ke log jan sake ki kya kya tha humare is yug mein... aisi prakartik apda ki bhavishyavani ka lekh maine kitne samay pehle likh dala tha aur 2012 movie aur 21.dec.2012 ki maya celender wali bhavishyavani meri in baton aadhar matra bhar hai..

globle warming ka jahan itna halla macha hai.. wahan mata rani ne vigyanikon ki bhi baat rakh li aur mujh para vigyanik ki bhi yani 2009 mein jahan sardi mein bhi shuru mein itni garmi padti rahi garam pani se nahane wale bhi shuru mein thande se nahate rahe aur sabne socha ki ab kya sardi aaye gi... par aakhir kaar aisi thand padi aur aisi dhund ki 21-12-2009 ko para 8 temprature par aa muh ke ball niche ja gira... dekha mata rani ka chamatkar agar aisa na hota to meri woh baat kahan jati ki aane wale time mein delhi mein ghor kadake dar thand padegi aur baraf bhi..


2012 . 121212
baj gaye 12 baj gaye 12

2012 mein ek aisi tithi maujood hai jo ati ashubh ho sakti hai veh 26th jan, 14th feb, 12 or 16th dec ho sakti hai..

12.12.2012 also im my dreams but i don't know why?? 8, 17 and 26 date always in my dreams

im waiting for 11.11.2011 and 31dec 2011 jabhi raat ko bajein ge 12:00 am



TaTa Do Co Mo Mobile Happy Do Year(2010). And created by me> 2011 happy co year, 2012 happy mo year & world ends 21.12.2012 huh.. haha... 

Woh din dur nahi jab hindustan aur is vatan ke logon ki shakal surat badal jaye gi arrey india ki tasveer badal jaye gi... Khet khet khalhiyan har parwat pagad ghatiyon tak train jaye gi... gaun shehar bann jayein ge arrey har 80 Km ki duri par fast buses kya air buses hongi itna hi naqsha hoga bharat ka lekin bad jaye ga, bhar jaye ga!!! india bahut kuch badalne wala hai chupa huya ubhar kar samne aane wala hai..




2012 aur 2021 bahut mehatvpurna aur sanvedansheel saal hai..