Nimnlikhit bhavishyavaniyan jo sach ho chuki hain aur inke pukhta saboot hain mere paas jin mein kuch pramujh hain:-
1. Maine benazir ke gale mein goli lagte dekha aur internet par likh kar daal diya aur 3 mahine ke baad sach mein woh mari gayi…
2. 26-11 jaisi ghatna bhi main lambe samay se dekh raha tha aur iski jaankari maine kayi aalaadhikariyon ko bhi di par kisi ne seriously nahi liya aur bharat ka 911 ho gaya. Maine kaha tha na delhi ke baad ab mumbai ka number hai dekha 26nov2008 ki kali raat jis ne mumbai ka dil dehla diya maine to five star hotel nishane par hai ye baat bhi likh di thi kyunki maine ye sab sapne mein pehle hi dekh liya tha! AUR JW-meriat, marin drive aur chatarpati shiva ji terminas JAISE NAMON KO BHI MAINE EK JAGAH SAMBODHIT KIYA JAISA KI HUYA BHI.. arrey maine to is ghatna ki tulna 1993 aur locle train wale dhamako se ki thi ki is baar 3rd time hoga aur kahin bad kar hoga!!!
3. main 2008 se lagatar satya sai ki mrityu dekh raha tha.. aur ye india tv par bhi kaha tha.. Satya sai ki mrityu aur unse juda anya sara aankho dekha haal maine bahut pehle hi likh diya tha theek vaise hi huya
4. nach baliye 2007 mein maine pehle hi likh diya tha ki rakhi sawant ko final mein jane se dunia ki koi takat nahi rok sakti lekin woh end mein jeet kar bh haar jayein gi yani un ke sath ghutala ho jaye ga…
5. T-20
Dunia mein pehli baar khela gaya t20 world cup match ki bhavishya vani bhi maine pehle hi kar di thi.. ki ye world cup india apne sath jeet kar laye gi is ki bhavishya vani ka saboot bhi mere orkut par hai..
6. world-cup 2011 india jeete gi ye bhi main kafi samay pehle hi likh diya tha.. Maine kaha tha na makar sakranti 2011 ke aas paas ek bhukamp aaye deka pichle dino lahor se delhi tak kitna bada bhukamp aaya tha.. Dekha phir aaya aaj 21.03.2011 sawa-teen baje dopahar pure uttar-bharat mein bhukamp aur kendra raha afganistan jaisa ki maine india tv par kaha tha..
7. NASA ab jakar apni reports mein ye keh raha hai ki mangal par pani hai jabki maine to bahut pehle ye keh diya tha ki mangal par pani hi nahi aur bahut kuch hai.. you can check in topic us-nasa_mars-masa
8. India tv par 18jan ko meri ye bhavishyavani huyi thi na ki 2008 musharaf ke liye acha nahi hai aur isi saal unhe astifa dena pada aur rashtrapati ki gaddi tyagni padi… Maine kaha tha na makar sakranti wale din bhuamp aa sakta hai dekha is saal heti mein 13 jan 2010 ko kitna bada zalzala aaya tha.. jisse bahut adhik jano-maal ki hani ho gayi…
9. maine jin jin deshon ka naam india tv par kaha aur jo jo jahag maine orkut par likhi kal 6sep ko wahan sab jagah ek sath bhukam aaya afganistan se pakistan aur pure north india hill gaya kyun sach kaha tha na maine…. Diwali se agle din 29th oct-2008 ko afganistani-pakistan mein bhukamp aane se 200 se bhi adhik log mare gaye aur sainkdon log ghayal huye aisa maine pehle hi likh diya tha.. abhi to meri is bhavishyavani ka asli bhavishya hona baki hai.. ek badi tabahi bhukamp se!!!
10. Kaha tha na arth tantra ki watt lag jaye gi diwali par diwala: dekha market sensex 8000 se bhi niche jata raha jaisa maine pehle hi likh diya tha itni aarthik mandi aur jeb khatra bad gaya… banks doob gaye, logon ka 27000 karod dooba, lee-man jaisi companies-banks tak doob gaye logon ko naukriyon ke khatre bad gaye
11. maine kaha tha na hindutv hit mein kattar aatank wad ki dunia mein ek aurat ka naam ubhar ke samne aaye ga dekha aaj kal sadhvi ke kitne charche hain. woh sahi mein aaropi hain? ye baat sach hai lekin apne drishtikon se aur ek pehlu se dekha jaye to woh apni jagan sahi hain…
12. maine kaha tha na ki vasundhra ka sitara buland hai finel mein wahi jite gi… aur rohan preet bhi maine kaha tha na finel mein zarur rahe ga!!! kaha tha na maine ek khiladi ek haseena bhajji aur jassi hi jeete gi…kaha tha na karj film nahi chale gi namo-nishan bhi nahi nazar aaye ga… Maine kaha tha na bharti ka sitara bhulandh hai aakhir woh jeet gayi na star1 ke comedy show mein… maine pehle hi keh diya tha is community mein ki ekta ke serials aur srat plus ki lokpriyeta buri tarah ghat jaye gi… maine likha tha na ki gr8 khali ke liye 2008 se acha samay shuru hoga aur uski shandar jeet… dekha pichle dino khali ne kitno ko pichad kar dikha diya ki uski jeet huyi…
13. maine pehle hi elaan kar diya tha ki 22 july ko kisi halat mein congress goverment nahi gire gi aur asia hi huya lakh pangon ke baad bhi aakhir sarkar nahi giri…
14. maine ye bhi kaha tha ki 2008 mein hi bahut jald parmanu karar hone se dunia ki koi takat nahi rok sakti aur aisa hi huya aakhir kaar deal ho hi gayi na…
15. Maine kaha tha na bhavishya mein shahrukh ji ko ek bimari se joojna pade ga dekha aaj unka opretion tha jis karan ab woh 6 month shooting, films nahi kar sakte…
16. Main kaha tha na.. what is dharawi in my dreams aaj dekha india ko dharavi mumbai’s slum area par bani film ne 8 oskar award dilaye……. in 2009
17. Maine apne sapno mein dekha tha aur uske aadhar par 100days cOmmunity mein orkut par 2008 mein predict bhi kiya tha.. wahan aaj bhi likha huya hai maine likha tha ki bhavishya mein ek cricket player ko jaan ka khatra woh nishane par hain ek din aatanki humle mein unki jaan chali jaye gi… sarkar ko unhe kadi suraqsha deni chahiye!!!!! 03.03.09 ko pakistan mein jo huya woh ek udahran mana ja sakta hai ki bhavishya mein dubara aisa ho sakta hai..
18. Rakhi Ka Svyanbar
Maine kaha tha na rakhi ji ka bhavishya ujwal hai piche saal se is saal tak unhe kitna kaam mil raha hai aur rakhi ka swayanbar to bahut spl raha… lekin aaj to hudd hi ho gayi jab maine tv par unhe reailty show mein maa bante dekha meri ye bhavishyavani bhi sach ho gayi darasal 1.5 saal pehle maine sapno mein suna tha ki rakhi bin beyahi maa bane gi… aur main darr gaya kyunki main unhe apni sister ki tarah manta hoon aur humesha unke liye acha likhta hoon ye bahut mushkil tha isliye maine apni community mein sirf liha ki maine apne sapno mein rakhi didi ko maa bante huye dekha hai aur jald hi is show ke zariye mera ye sapna sach bhi ho gaya aur kuch galat bhi nahi huya!!!
19. 17000
maine kaha tha na sensex 17 ka aankda paar kar jaye ga aur lagbhag aath mahine huye honge jab maine aisa likha tha aur ab jakar aisa ho gaya…
20. Kyun ho gaya na: arrey maine kaha tha na aur itne time pehle hi ye line likh kar de di thi india tv ko ‘black truth of white tooth paste’ aur aisa kuch yani aisi khabar kal hi india tv par aa rahi thi.. ki tooth paste ke karan logon mein kuch bimariyan aur vikar ho rahe hain…
21. hi- alert hi alert arrey maine fdb sdm ko jo papers diye the us mein kaha tha na agla dhamaka pune mein hoga dekha ho gaya na ye khabar ke roop mein news peper mein bhi aaya tha aur ab jakar pichle dino pune mein bomb blast ho gaya…
22. wah re meine news mein suna ki is saal 2010 mein big boss 4 ko mr. khan host karein ge!!! maine kaha tha na… ye baat bhi sach ho gayi aur to aur uma bharti ji bhi wapis aane wali hain in bjp jaise maine pehle hi kaha hai.. Maine kaha tha na ki real mein he’s the big boss to sabne suna tha is show ka gana but this song in my dreams “she’s the big boss” Dekh liya is baar big boss mein prerna(shaweta tiwari) jeet gayi jaisa ki maine likha tha ki ek mahila big boss bane gi…